Page 688 - Quran-e-Kareem
P. 688
34 saba (688) 22 para
nd
th
Faysla karega (toye) aur wo badha faysla karne wala (1)(aur) ilm wala hai
34:26 tum ye kehdo k tum mujhey unko dikhaao jinko tumne shareek
banaaker uske saath mila diya hai (toye) hargiz aesa nahi hai balke wahi
zabardast (aur) hikmat wala khuda hai 34:27 aur humne to kull aadmiyoun
k liye khush khabri dene wala aur daraane wala hee (2) (banakar) bheja
hai lekin bohhot se log nahi jaante 34:28 aur wo ye kehte hai k agar tum
sachey ho to ye bataao k ye waada kab aayega ?34:29(jeem) tum ye kehdo
k tumhaare liye waade ka ek din muqarrar hai jisse tum ek ghari na
peechay reh sakogay aur na aagay barh sakogay 34:30 (3AIN9-9) aur jo log
kaafir hogaye unhonay ye kehdiya k hum na kabhi iss quran per imaan
laayenge aur na unn kitaaboun per jo usse pehle they (toye) aur kaash k
tum dekhte k jiss waqt ye zaalim tumhaare parwardigaar ki huzoori mea
kharey kiye jaayenge ek dusre per taan karte honge (jeem) uss waqt
kamzor unn logoun se jo barhey bangaye they ye kahenge k agar tum na
hotay to hum zaroor momin

