Page 691 - Quran-e-Kareem
P. 691

34  saba                    (691)                    22   para
                                                                              nd
                         th

               Unhee pe imaan rakhte they 34:41 so aaj k din tum mea se ek dusre k nafa


               ka ikhtiyaar rakhega aur na zarrar {nuqsaan} ka (toye) aur jo log zaalim

               hogaye hai unse hum ye kahenge k uss aatish e dozakh k azaab ka mazaa


               chako jissko tum jhutlaaya karte they 34:42 aur jiss waqt unko hamaari

               khuli aayatein parhker sunaayi jaati hai wo ye kehte hai k ye shaks faqat


               itna chahta hai k jinn cheezoun ki tumhaare baap dada parastish kiya karte


               they unse tumko baaz rakhey (jeem) aur ye bhi kehte hai k ye mehez bani

               hui baatein hai (toye) aur unn logoun ne jo kaafir hogaye hai haq ki nisbat


               jiss waqt wo unke paas aaya ye kehdiya k ye to bila shuba khula hua jadoo

               hai 34:43 aur unko humne kitaabein to dee nahi thi jinko wo parhte ho


               aur na humne tumse pehle unke paas koi daraane wala bheja tha


               34:44(toye) aur unse pehle jo log they unhonay bhi jhutla diya tha halaan

               k jo kuch humne unko (1)  de rakha tha wo uske dusway hisse ko bhi nahi


               pohonchay hai gharz unhonay mere rasooloun ko jhutlaaya tha (qaff) pass


               meri naa khushi ka nateeja kaisa hua ? 34:45(5AIN9—11) tum ye kehdo

               siwaaye uske nahi k mea to ek hee (2) baat ki nasiyyat karta hun (jeem) k


               tum do do ek ek karke
   686   687   688   689   690   691   692   693   694   695   696