Page 693 - Quran-e-Kareem
P. 693
35 fatir (693) 22 para
nd
th
Baatein banaaya karte thay 34:53 aur unke darmiyaan jin jin cheezoun ko
unki khaayesh hogi unke darmiyaan ek aard {rukaawat} kardi jaayegi jaisa
k inse pehle growhoun k baare mea kiya gaya hai (toye) beshak wo sab k
sab pareshaan kardene waale shak mea they 34:54(6AIN9-12)
SUREH FATIR (MAKEEH) 45 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Her qism ki taarif allah k liye (zayba) hai jo aasmaanoun ka aur zameen ka
payda karne wala hai aur farishtoun ko rasool (1) banaaker bhejne wala
hai jo do do baazu waale(2) bhi hai teen teen waale aur chaar chaar waale
bhi (toye) (aur) wo jo kuch chaahta hai (3) khilqat mea zyaada kardeta hai
(toye) beshak allah her cheez per (poori poori) khudrat rakhne wala hai
35:1jo rehmat e khuda e taala aadmiyoun k liye (4) khol deta hai uska koi
roknay wala nahi hai aur jo kuch wo rok leta hai phir uss k baad uska koi
bhejne wala nahi hai (toye) aur wo barha zabardast (aur) hikmat wala hai
35:2 aye aadmiyoun ! tum per khuda e taala ki jo nehmatein hai unko yaad
karte raho (toye) aaya allah k siwaaye koi aur payda karne wala bhi hai jo
aasmaan o zameen se tumko rozi dede ? (toye)

