Page 698 - Quran-e-Kareem
P. 698
35 fatir (698) 22 para
nd
th
Aur daraane wala banaaker bheja (toye) aur ek grow bhi aesa nahi ho
jismea koi daraane wala na aaya ho 35:24 aur agar wo tumhaari takzeeb
karey to yaqeenan unhonay bhi takzeeb ki thi jo unse pehle they (jeem)
(halaanke) unke rasool unke paas khuli daleelayn aur saheefayn aur roshni
pohonchaane waali kitaabein lekar aa chukay they 35:25 phir jo kaafir
hogaye they unko maine giraftaar kiya phir meri naa khushi ka anjaam
kaisa hua ? 35:26(3AIN12-15) kia tumne ye nahi dekha k allah ne aasmaan
se pani utaara (jeem) phir humne uske zariyea se tarah ba tarah {mukhtalif
khism} k phal payda kiye (toye) aur pahaardoun mea se kuch to raaste aur
tabkhayn safayd hai aur kuch mukhtalif rang k (yaani halke matwassit aur
ghayre) surq aur baaz siyaa bhaura 35:27 aur aadmiyoun mea se aur
jaandaroun mea se issi tarah mukhtalif rang k hotay hai (toye) allah k
bandoun mea se sirf ulema e allah se darte rehte hai (toye) beshak allah
zabardast (aur) barha bakhashne wala hai 35:28 yaqeenan wo log jo kitaab
e khuda ki tilaawat karte hai aur unhonay namaaz parhi aur jo kuch
humne unko diya ussmea zaahir aur chupa karr

