Page 699 - Quran-e-Kareem
P. 699
35 fatir (699) 22 para
nd
th
Hamaari raah mea kharch kiya wo aisee tijaarat ki umeed lagaaye huye hai
jismea kabhi ghaata na hoga 35:29 taa k allah taala unke ajr poore poore
dede aur unnper fazal se unke liye kuch aur barhaa de (toye) beshak wo
barha bakhashne wala (aur) khadardaan hai 35:30 aur (aye rasool) jo
kitaab humne tumhaari taraf ba zariyea wahi k bheji hai wo barhaq hai
(aur) apnay se pehle kitaaboun ki tasdeeq karne waali hai (toye) beshak
allah apnay bandoun k haal se waaqif (aur unka) nigraan hai 35:31 phir
humne apni uss kitaab ka waaris unko banaaya jinko humne apnay
bandoun mea se muntaqib karliya tha (jeem) pass unn (bandoun )mea se
kuch to apnay ooper zulm (1) karne waale hai (jeem)aur kuch miyanarao
{darmiyaan mea chalne waale} hai (jeem) aur kuch hukum e khuda se
tamaam naykiyoun mea barh jaane waale hai (toye) yahee to bohhot barha
fazal hai 35:32(toye) ye sab hamesha rehne ki jannatoun mea daakhil
hojaayenge unmea unko sonay k kangan aur moti pehnaaye jaayenge
(jeem) aur unmea unka libaas reshmi hoga 35:33 aur wo ye kahenge k
khuda ka shukr hai jisne hum se her qism ka ranj o gham duur kardiya
(toye) hamaara parwardigaar badhaa bakhashne wala (aur) qadardaan hai
35:34(laa)

