Page 702 - Quran-e-Kareem
P. 702
36 ya-seen (702) 22 para
nd
th
To kia ye apnay pehloun k qaaeda {sunnat} k muntazer hai ? (jeem) pass
tum khuda k qaayeda mea hargiz koi tabdeeli na paaogay (pesh)(jeem) aur
na kabhi tum khuda k qaayeda ko talta hua paaogay 35:43 kia wo zameen
mea nahi chaley (1) phiray k wo ye dekhenge k unke pehloun ka anjaam
kaisa hua tha halaan k wo unse quwwat mea bohhot barhey huye they
(toye) aur allah aisa nahi hai k aasmanoun ki aur zameen ki koi cheez
usko haraa de (toye) beshak wo (her cheez se poora poora) waaqif (aur)
khudrat rakhne wala hai 35:44 aur agar allah aadmiyou se jo fail wo kar
chukay hai unka muaaqeza {poochtaach} karta to rooh e zameen per ek
jaandar ko bhi baakhi na rakhta lekin usne unko ek muqarrar waqt tak k
liye dheel de rakhi hai (jeem) pass jab inka muqarrara waqt aajayega (to
buss) phir allah hee apnay bandoun k haal ka nigraan hoga 35:45(5AIN8-
17)
SUREH YA SEEN (MAKEEH) 83 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Ya seen (2) 36:1(jeem) hikmat waale quran ki qasam hai 36:2(laa)
yaqeenan tum unn rasooloun mea se ho 36:3(laa)

