Page 700 - Quran-e-Kareem
P. 700
35 fatir (700) 22 para
nd
th
Jisne humko apnay fazal se aise hamesha rehne k gher mea la utaara (1)
jiss mea na humko koi ranj pohonchega aur usmea na humko koi thakan
pohoncheygi 35:35 aur jo log kaafir hogaye unke liye aatish e jahannum
hai (jeem) na to wahan unko qaza hee aayegi k wo marjaaye aur na unke
azaab e jahannum hee mea taqfeef {kami} ki jaayegi (toye)(aur) her naa
shukrey ko aise hee sazaa denge 35:36 aur wo usmea parhey parhey
chillaayenge (jeem) k aye hamaare parwardigaar ! humko ismea se nikaal
taa k jo amal hum ab tak karte they uske ber khilaaf hum nayk amal kiya
karey (toye) (jawaab milega k)kia humne tumko bohhot see umr naa dee
thi (2) k ussmea jo bhi nasiyyat haasil karna chahta nasiyyat haasil karta
alaawa baree {iske alaawa} tumhaare paas ek khaas daraane wala bhi aaya
tha (toye)(jab k tumne uski nahi suni to) ab mazaa chako k (yahaan) naa
farmaanoun ka koi madadgaar nahi hai 35:37(4AIN11-16) beshak allah
aasmaanoun ki aur zameen ki posheeda batoun ka jaanne wala hai (toye)
yaqeenan wahi diloun k haal se (poora poora) aagah hai 35:38 wahi to hai
jisne tumko zameen mea (pehloun ka) jaanasheen kardiya (toye) phir jo
shaks kaafir hogaya uske kufr ka wabaal ussi per hai (toye) aur kaafiraoun
k liye unka kufr unke parwardigaar k nazdeek siwaaye naraazi k aur kisi
cheez ko nahi barhaata (jeem)

