Page 737 - Quran-e-Kareem
P. 737
th
th
39 Sureh Al-Zamur (737) 24 para
Pas uss say zyada zalim kaun hoga jo khuda k barkhilaaf jhoot bolay Aur
sach ko jab uske pas aaye jutlaaye kya kafiroon ka thikaana jahannum mey
nahi hai ? (toye) 39:32 aur wo jo sach ko leykar aaya aur jiss nay uss ki
tasdik ki (khuda sey) darnaywaale wahi tu hai.(toye) 39:33 unke liye unke
parwardigaar k paas jo jo kuch wo chaheingay maujood hai naykokaaro ka
badlaa yahee tu hai (jeem) 39:34 taakay jo bari say bari badii unhonay nay
ki thi uss (kay wabaal) ko khuda talaa unn sey dooor karde aur jo amal
(bhi) wo kiya karty thay uske a’waz mey kahein zyada acha badlaa unko
dey(toye) 39:35 kya Allah apnay banday k liye kafi nahi hai ? (toye)
halaankay wo tumhein unn ( key zaryeh) sey daraate hain jo uske siwaa
hein (toye) aur jis say khuda talaa tofeeq-e-hidayut sulb karlayta hai usska
koi rehbar nahi hota (jeem) 39:36 aur jesay khuda hidayat fermata dayta
hai usska koi bhatkaane waala nahi hai kya Allah zaburdast (aur)
inteqaam laynay wala nahi hai ? (toye) 39:37 aur agar tum unsay yeh
daryaaft karogay k aasmano aur zamino ko paidaa kis nay kiya hai? tu wo
zaroor yeh kaheingay k Allah nay (toye) tum kehdo k aaya tumhaarii
samaj mea yeh aata hai k Agar Allah mujay koi nuqsaan poochanachahey
tu jinko tum Allah k siwaa pookartay rehtay ho.

