Page 796 - Quran-e-Kareem
P. 796

45      Sureh Jaseeyah              (796)                        25   para
                                                                                          th
                         th

               Asmaan se utare hain k uske zariye se usne zameen ko uski maot k baad


               phir zinda kerdiya hai, usmein aur hawaon k chalne mein un logon k liye

               jo aql rakhte hain nishaniyan [maojood] hain. 45:5 ye Allah ki aayatein


               hain jo hum tumko theek theek padh padhker sunate hain, pas khuda k

               aur uski aayatoun k baad ye log konsi baat per imaan laenge? 45:6 har us


               jhute gunahgar per sabse zyada wo afsoos hai (laa) 45:7 jo khuda ki


               aayatein apne samne padhte hue sunta hai phir az rue takabbur [apne kufr

               per] ussi terah israar kerta hai goya usne unko suna hi nahin (jeem) to


               tum bhi unko dardnaak azaab k baare mein khush khabri sunaado 45:8

               aur jab usko hamaari aayatoun ka kuch ilm ho jata hai to uski hansi udata


               hai (toye) aise hi logon k liye zillat dene wala azaab hai 45:9 aur aage unke


               jahannum se aur unke na to wo kuch kaam aayega jo unhone kamaya

               hoga aur na wo [kaam aayenge] jinko Allah k siwa unhone sarparast


               thehraya hoga (toye) aur unke liye bahut bada azaab hoga (toye) 45:10


               hidaayat yehi to hai  aur jinhon ne apne parwardigaar ki aayatoun ka

               inkaar kiya  hai unke liye dardnaak azaab ki maar hai 45:11 Allah wohi hai


               jisne samandaron ko tumhaara mutee ker diya hai, kya us mein
   791   792   793   794   795   796   797   798   799   800   801