Page 801 - Quran-e-Kareem
P. 801
46 Sureh Ehqaf (801) 26 para
th
th
SUREH EHQAF MAKEEH SUREH 35 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehmaan o raheem k naam se [shuruu karta hun]
HAA MEEM 46:1 is kitaab ka nuzool zabardast hikmat waale khuda ki
taraf se hua hai 46:2 humne aasmanon ko aur zameen ko aur jo kuch un
donon k dermiyan hai usko haq hee k saath aur ek muqarrarah waqt k liye
paida kiya hai aur jo log kafir ho gaye wo un cheezon se jinse daraaya jaata
hai rugerdaan hain 46:3 [ae Rasool s.a.w.a] tum ye kehdo k aaya tumne
ghour bhi kiya k jin jin cheezon ko tum khuda k siwa pukarte ho mujhe
dikhaao k zameen mein se unhone kya paida kiya hai ya aasmanoun [ki
paidaish] mein unka koi saajha {shareek} hai. Agar tum [apne daawe
mein] sachhe ho to us se pehle ki koi kitaab mere paas le aao ya kisi ilm
ka bakhiyya 46:4 aur usse zyaada gumraah kon hoga jo khuda ko chord
ker aise ko pukare jo qayamat tak us ka jawab hee na de aur wo unke
pukarne se bekhabar bhi rahe 46:5 aur qayamat k din jab sab aadmi
jamaah kiye jaayenge

