Page 802 - Quran-e-Kareem
P. 802
46 Sureh Ehqaf (802) 26 para
th
th
To wo unke dushman bhi honge aur unki ibaadat k munkir bhi 46:6 aur jab
unke saamne hamaari khuli aayatein padhi jati hain to wo log jo kafir ho gaye
hain haq k baare mein jabke wo unke paas aachuka hai ye kehte hain k ye to
khula jaadu hai 46:7 ya wo ye kehte hain k us [Rasool s.a.w.a] ne usey khud
bana liya hai tum ye kehdo k [bil farz] agar hum ne isey apni taraf se bana
liya hai to tum khuda k azaab k tu mujhe ko bachaane ka koi ekhtiyar nahin
rakhte jin jin cheezon mein tum lage hue ho unse wo khoob waaqif hai, mere
tumhaare mabain gawaahi dene ko wohi kafi hai aur wo sabse zyaada
bakhashne wala aur rehem kerne wala hai 46:8 tum ye kehdo k main
rasooloun mein se koi anokha nahin hoon aur main ye bhi nahin janta k mere
saath kya kiya jaayega aur na ye k tumhaare saath kya [kiya jaega] main to sirf
uski pairawi kerta hoon jo kuch meri taraf wahi ki jati hain aur main to faqat
ek khula derane wala hoon 46:9 tum ye kehdo k aaya tum ne usse mein bhi
ghour kiya k agar ye [quran e majeed] khuda ki taraf se ho aur tum ne uska
inkaar kiya halaanke bani israeel mein se ek gawaah ne issi terha ki ek kitaab
per gawaahi di hai pas wo imaan laaya aur tum aitthein hi rahe [to tumhaara
anjaam kya hoga] yaqeenan Allah nafermaan logon ki rehbari nahin fermata
46:10 aur unlogon ne jo kafir ho gaye hain un logon k baare mein jo imaan
laaye hain ye kehdiya k agar ye [Rasool s.a.w.a jo kuch laaya hai wo] acha
hota to ye log uski taraf hum se aage na badhte aur ab chunke unhone uske
baare mein hidaayat nahin paayi hai pass wo to

