Page 806 - Quran-e-Kareem
P. 806
46 Sureh Ehqaf (806) 26 para
th
th
Inkaar kerne lage to na kuch unke kaan hi unke kaam aaye aur na unki
ankhein aur na unke dil aur jin azaab ki wo hansi udaya kerte the ussi ne
unko aaghera 46:26 aur tumhaare ird gird ki bastiyon ko humne zaroor
halaak kiya aur un aayatoun ko bar bar bayaan kiya taake wo [nafermaani]
se baaz rahein 46:27 phir jinko unhone khuda k siwa taqarrub haasil kerne
ki gharaz se khuda bana liya tha unhone unki madad kyun na ki, balke wo
to unse ghayab ho gaye aur unke jhoot ki aur unki eftera perdaaziyoun
{inkaar o badmaashi} ki asleeyat yehi hai 46:28 aur [us waqt ko yaad karo]
jabke humne jinon k ek groh ko tumhaare paas bheja k wo Quran e
Majeed ko ghour se sunen, chunache wo usse sunne aagaye to aapas mein
kehne lagey k khamush raho (jeem) phir jab wo qatm ho chuka to wo
daraane k liye apni qoum mein phir gaye 46:29 [wahan jaakar] kehne lagey
k aye hamaari qoum, hum ek aisi kitaab sunker aaye hain jo Musa a.s. k
baad naazil ki gayi hai, apne se pehli kitaab ki tasdeeq kerne wali hai aur
haq ki taraf aur rah e raast ki taraf rehbari kerti hai 46:30 aye hamaari
qoum, Allah ki taraf bulaane waale ki baat maano aur usper imaan le aao,
Allah taala tumhaare gunah maaf kerdega.

