Page 807 - Quran-e-Kareem
P. 807
46 Sureh Ehqaf (807) 26 para
th
th
Aur tumko dardnaak azaab se bacha lega. 46:31 aur jo shaqs Allah ki taraf
bulaane waale ki baat na maanega wo zameen mein to us [Allah] ko ajiz
na kersakega aur siwaaye us [Allah] k koi uska karsaaz na hoga. Aise hi
log khuli badbakhti mein rahenge 46:32 kya unhone nahin samjha k wo
Allah jisne aasmanon ko aur zameen ko paida kiya aur unke paida kerne
se thaka nahin isper bhi qadir hai k murdon ko zinda kerde. han wo
zaroor har cheez per [puri puri] qudrat rakhne wala hai 46:33 aur jisdin
wo log jo kafir hogaye jahannam k saamne kiye jaayenge [to unse ye bhi
kaha jaayega ke] aya ye haq nahin hai? (toye) Wo kahenge hamare
parwardigaar ki qasam ye zaroor haq hai fermaayega k ab jaisa tum inkaar
kiya kerte the uske a’waz us azaab ka maza chakho 46:34 pass [aye Rasool
saws] tum waisa hee sabr karo jaisa k rasooloun mein se ulul-azm Rasool
sabr kiya kerte the aur inke liye [azaab ki] jaldi na karo (toye) jissdin ye
ussay dekhenge jiska inse waada kiya jata hai to ye aisa samjhenge k goya
din k ek ghante se zyada dunya mein nahin rahe (jeem) [yehi samjhaana]
kafi hai kya nafermaan logon k siwa koi aur halaak hoga 46:35

