Page 840 - Quran-e-Kareem
P. 840

53         Sureh an-Najm                   (840)                        27   para
                                                                                                 th
                         rd

               raha ya kuch kam 53:9 (jeem) phir khuda ta’ala k apney bandey ki taraf


               wahi fermaayi jo kuch bhi wahi fermaayi 53:10 (toye) us (rasool) ney jo

               kuch (bhi) dekha (unkey) unkey dil ney usmein kuch jhoot nahi milaaya


               53:11 aaya tum log rasool k mutaaliq behes kertey ho jo kuch k woh

               dekhtey hain 53:12 halaanke unhonay usey ek mertaba 53:13 (laa) aur


               sidratul muntaha k pass yaqeenan dekha tha 53:14 jiske paas rehney ki


               jagah bahisht bhi hai 53:15 (toye) jiswaqt k sidrah per jo kuch bhi chaah

               raha tha 53:16 (laa) na tu(rasool ki) ki nazar ne kaji ki aur nah uchat gayi


               53:17 beshak unhoney apney parwardigaar ki nishaniyon mein se bari

               nishaniyon ko dekha 53:18 aaya tum ney(bhi) laat-o-uzza ko aur 53:19


               (laa) ek aur teesri manat ko ghor se dekha? 53:20 aya tumhaarey hissey


               mein tu betey aaye hain aur khuda k hisey mein betiyan? 53:21 ye tu bari

               beja takhseem hai 53:22 ye tu naam hi naam hain jo unkey tumney aur


               tumhaarey baap dadaon ney rakhliye hain khuda ta ala ney tu uskey barey


               mein koi sanad utaari nahi hai (toye) wo tu nirey gumaan ki aur

               uncheezon ki peravi kertey hain jinko unkey dil chahtey hain (jeem)


               halankey unkey pass unkey perwerdigaar ki jaanib se hidaayat achuki hai


               53:23 (toye) aya insaan jo khwaahish kerta hai woh poori hojati hai? 53:24

               pus akhirat aur dunya (dono jagha)
   835   836   837   838   839   840   841   842   843   844   845