Page 839 - Quran-e-Kareem
P. 839
53 Sureh an-Najm (839) 27 para
th
rd
Yahan tak k wo din unkey saamne aaye jis din wo behosh kerdiye jaingey
52:45 (laa) jissdin unki chaal zara bhi unkey kaam na aayegi aur na unki
madad ki jaayegi 52:46 (toye) aur beshak unlogon k waastey jinhonay zulm
kia iskey alaawa bhi azaab hai lekin unmein se aksar jaantey hi nahi 52:47
aur tum apney parwardigaar k hukum k baare mein sabr karo k yaqeenan
tum hamaari hifaazat mein ho aur jiswaqt tum (namaz-e-shab) k liye utho
apney parwardigaar ki hamd ki tasbeeh pardha karo 52:48 (laa) aur raat k
kisi hissey mein bhi aur sitaaroun k doobtey waqt (bhi) 52:49 (hamza)
Surah An-Najm (makee) 62 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem Rahmaan o Raheem khuda k naam se
(shuru kerta hoon)
Qasam hai sitaare ki jiswaqt k wo utra 53:1 (laa) tumhaara rafeeq na
bhatak gaya hai aur na behka hai 53:2 (jeem) aur wo khwaahish-e-nafsani
se kuch nahi kehta 53:3 (toye) jo kuch wo kehta hai woh nahi hai magar
wahi jo uski taraf bheji jati hai 53:4 (laa) usko bari quwwatoun waale aur
barhi aqal waale ne taleem kia 53:5 (laa) phir woh (toye) khara hogaya 53:6
(toye) jis haal mein k wo oonchey se oonchey ufaq k khareeb tha 53:7
(toye) phir wo aur khareeb hua phir mualaqh hogaya 53:8 (laa) phir Do
kamaan ka fasla

