Page 875 - Quran-e-Kareem
P. 875
60 Sureh Al-Mumtahana (875) 28 para
th
th
(waqai) kamiyab tu wohi hain 59:20 ager hum is quran ko kisi pahardh pe
utartey to tum usko khof-e-khuda se larazta aur phatta dekhletey (toye)
aur ye misaalein hum kul admiyoun k liye bayan kertey hain takey wo
ghor o fiker Karen 59:21 woh allah wohi hai jiskey siwa koi mabood nahi
(jeem) chupi aur khuli ka janey wala wohi (jeem) rehman aur raheem hai
59:22 wo allah wohi hai jiskey siwa koi mabood nahi (jeem) badhshah hai
pakeezah hai sahib-e-salamti hai amaan ata fermaney wala nighebani
kerney wala zaberdast hukum chalaney wala (aur) sab se bara hai (toye) jin
jin cheezeon ko log shareek qaraar detey hain un sab se allah (ki zaat)
munaza hai 59:23 wo allah bananey wala paida kerney wala (aur) soorat
ata fermaney wala hai kul achey achey naam ussi k hain (toye) aasmanoun
mein aur zameen mein jo kuch bhi hai ussi ki tasbeeh kerta hai (jeem) aur
wohi zaberdast (aur) hikmat wala hai 59:24
Surah Al-Mumtahana (makee) 13 Ayaats

