Page 889 - Quran-e-Kareem
P. 889
64 Sureh Al-Taqabun (889) 28 para
th
th
jo kuch tum kertey ho usey agah hai 64:8 jab wo qayamat k din tumko
jamah karega yahi tu haar jeet ka din hai (toye) aur jo allah per imaan
layega aur naik amal karega tu allah uski badiyon ko usey duur kerdega
aur usko aesi jannatoun mein daakhil kerdega jinkey neechey nadiyan
behti hain un mein hamesha (hamesha) rehney waley hongey (toye) yehi
bari kamiyabi hai 64:9 aur jo log kafir hogaye aur unhoney hamaari
aayatoun ko jhutlaya jahannum waley wohi hain jismein wo hamesha
(hamesha) rehney waley hongey (toye) aur (wohi) sab se bari baazgasht
hai 64:10 baghair hukum-e-khuda k koi takleef nahi pohonchti (toye) aur
jo allah per imaan layega allah uskey dil ko hidaayat kerdega (toye) aur
allah her cheez ka (poora poora) janey wala hai 64:11 aur tum allah ki itaat
karo aur rasool ki ataat karo (toye) phir ager tum rogerdan hojaogey tu
hamarey rasool per tu sirf paighaam ka kholker ponhinchadena wajib hai
64:12 khuda wohi hai jiskey siwa aur koi mabood nahi (toye) aur
mominoun ko lazim hai k khuda hi per tawakal kia Karen 64:13 aye imaan
laney walon yaqeenan tumhaari bibiyon aur tumhaari aulaad mein se baaz
(baaz) zaroor tumhaarey dushman hain pus unsey bachtey raho (jeem) aur
ager tum maaf kerdogey aur darguzer karogey aur bakhshdogey tu beshak
allah bara bakhshney wala (aur) bara reham kerney wala hai 64:14

