Page 886 - Quran-e-Kareem
P. 886
63 Sureh Al-Munnafiqun (886) 28 para
th
rd
ke wo imaan laye aur phir kafir hogaye ab iska inkey dilon per chapa
lagadia gaya tu wo kuch bhi nahi samajhtey 63:3 aur jab tum unko dekho
tu unka deel dol tumko acha maloom hoga (toye) aur ager wo baatein
Karen to tum unki batein sunogey (mager ye ilm-o-aqal se aesey khali
hain) goya wo lakriyan hain jinko wo deewar k saharey khara kerdia ho
(toye) her cheez ko ye samajhtey hain k unhi per perti hai (toye) wo
dushman hain so unsey bachtey raho (toye) khuda unko gharat kare
kidher behektey jatey hain 63:4 jiswaqt unsey ye kaha jata hai k Aao
rasool-e-khuda tumhaarey liye dua-e-maghfirat Karen tu wo apney saron
ko phira letey hain aur tum unko dekhogey k wo mutakabrana {takabbur
k} andaaz se moon bhi phiraletey hain 63:5 unkey liye baraber hai khwah
tum unkey haq mein dua-e-maghfirat mango ya unkey haq mein dua-e-
maghfirat na mango (toye) allah unko hergiz na bakhsheyga (toye) beshak
allah badkaar logon ki rahbari nahi fermata 63:6 ye tu wohi hain jo ye
kehtey hain k rasool-e-khuda k pass jo log hain unper apna apna paisa
kharch na karo takey wo bhag jain (toye) halankey aasmanoun k aur
zameen k allah hi k hain laikin munafiq (itna bhi ) nahi samajhtey 63:7 wo
ye kehtey hain k ager hum madina palat ker gaye tu

