Page 908 - Quran-e-Kareem
P. 908
70 Sureh Maarij (908) 29th para
th
Ab tum nihayat khoobi k saath berdasht kerte raho 70:5 ye log to us
[qayamat] ko dur samajhte hain (laa)70:6 aur hum usko qareeb hi dekhte
hain (toye) 70:7 jisdin asmaan pighle hue tambe ki tarah ho jaega (laa) 70:8
aur pahard dhunki hui oon{wool} ki manind ho jaegenge (laa) 70:9 aur
ankhoun dekhte dost kisi dost k baat na poochega (jeem) 70:10 aur
gunehgaar ye Arzoo karega k wo usdin k azaab se bachne k liye agar ho
sake to apne beton ko (laa) 70:11 aur apni bibi ko aur apne bhai ko 70:12
aur apne kunbe ko jo use apne paas rakhta tha 70:13 aur zameen [bhar]
mein jo [jo] hain un sab ko batour e fidye k dede phir wo sab use [un
azaab se] mehfooz rakhte [to] hargiz aisa na hoga (laa) 70:14 wo
[jahannam] ki aag to bhadakta hua shola hai (jeem) 70:15 jo khaal ko
[jhulasker] udhed dega 70:16 ye [jahannam] un logon ko bulati hogi
jinhon ne peth pheri aur rugerdani ki 70:17 aur maal jama kiya phir use
[buqul {kanjoosi} se] rok rakha (laa) 70:18 Beshak insaan harees paida
kiya gaya hai (laa) 70:19 jab usper koi takleef padhti hai to bada ghabra
janewala hai (laa)70:20 aur jab use doulat mil jati hai to bada rokne wala
hai (laa) 70:21 haan wo namaz padhne wale us se mustasna hai (laa) 70:22
jo apni namaazoun per Qayam rehne wale hain (laa) (swat)70:23 aur wo
log jinke malon mein mangne walon aur na mangne walon ka (laa)70:24
ek muqarrara haq hai (laa)70:25 Aur wo log jo faisle k din ko sachha jante
hain 70:26 (laa) (swat)

