Page 911 - Quran-e-Kareem
P. 911
71 Sureh Nuh (911) 29th para
st
Khuda ka muqarrar kiya hua waqt ajata hai to to wo hataya nahin jata,
kaash tum ise samajha lete 71:4 [phir Noah (a.s) ne] arz ki aye mere
parwardigaar maine apni qoum ko raat aur din bulaya (laa) 71:5 magar
mere bulaane ne unko kuch faida na pahunchaya siwaaye uske k [mujh se]
aur zyada bhage 71:6 aur jab bhi maine unko is gharaz se bulaaya k tu
unke gunah maaf kerdeto unhone ne [apne] kanon mein ungliyan thons
lee aur apne kapde odh liye aur apni baat per ade rahe aur had se badh ker
takabbur kiya (jeem)71:7 phir maine unko khullam khulla bulaya (laa) 71:8
phir maine unke liye apni dawat ka aelaan kiya aur khoofiya khoofiya bhi
unse raaz mein baten ki (laa) 71:9 aur ye kaha k tum apne parwardigaar se
maghferat maango (toye) beshak wo bada bakhashne wala hai (laa) 71:10
jo asmaan se tumper musalladhaar pani bersata hai (laa) 71:11 aur maal
aur aulaad se tumhaari madad fermata hai aur tumhaare liye baghaat paida
kerta hai aur tumhaare liye nadiyan jari kerta hai (toye) 71:12 tumhein ho
kya gaya hai k tum khuda ki izzat nahin kerte (jeem) 71:13 halaanke usne
tumko tarha tarha ka paida kiya hai 71:14 kya tumne ye nahin dekha k
khuda e taala ne saat aasmanoun ko tayh ba tayh paida kyunker kiya hai
(laa) 71:15 aur unmein chaand ko roshan kiya

