Page 912 - Quran-e-Kareem
P. 912
71 Sureh Nuh (912) 29th para
st
Aur suraj ko ek chiragh bana diya 71:16 aur Allah ne zameen se tumko
paida is terha kiya hai jaisa k paida kerne ka haq hai (laa) 71:17 phir wo
ussi mein tumko laota dega aur ek dafa [ussi se] tumko nikal lega 71:18
Aur Allah ne zameen ko tumhaare liye farsh banaaya hai (laa) 71:19 taake
tum uske chaurhe chaurhe raastoun mein chalo phiro 71:20 [phir] Noah
(a.s) ne arz ki k aye mere parwardigaar inhone meri nafermani ki aur us
shaqs ki pairawi ki jiske maal aur aulaad ne uska nuqsaan hi badhaya.
(jeem) 71:21 aur ye badi badi chalen chale (jeem) 71:22 aur inhone ye kaha
k tum apne khudaon ko na chordna aur tum na “wad” ko chordna aur na
“sawa” ko aur na “yaghoos” wa “yaoon” wa “nasr” ko (jeem) 71:23 aur
unhone bahutsoun ko gumrah kiya (jeem) aur [ae parwardigaar] inki
halakat hi zyada kijiyo 71:24 [chunaanche] apne gunahon k sabab se wo
dubo diye gaye aur jahannum mein jhonk diye gaye (laa) Phir Allah k siwa
unhone ne madadgar na paaye 71:25 aur Noah (a.s) ne arz ki aye mere
parwardigaar ru-e-zameen per kaafiron mein se ek ko bhi na chord 71:26
beshak agar tune unko bakhi rakha to ye tere bandon ko gumrah karenge
aur inki aulaad siwaaye gunahgar kafir k aur kuch na hogi 71:27

