Page 915 - Quran-e-Kareem
P. 915
72 Sureh Jin (915) 29th para
nd
To hum unko bakasrat pani se seraab kerte (laa)72:16 taake hum us mein
unki azmaish Karen (toye) aur jo shaqs apne parwardigaar ki yaad se
rugerdaan hoga usko saqt azaab mein daakhil karega (laa) 72:17 aur zaroor
sajde k maqamaat Allah hi k liye maqsoos hain pas tum Allah k saath kisi
aur ko na pukaro (laa) 72:18 aur zaroor jab koi khuda ka banda uski
ibaadat k liye khade ho jata hai to log hujoom kerke usko ghere lete hain
(toye) 72:19 tum kehdo k siwaaye iske nahin hai k main to apni
parwardigaar ki ibaadat kerta hoon aur kisko uska shareek nahin thehrata
72:20 Tum kehdo k main tumhaare liye kisi zarar ka ekhtiyar rakhta hoon
aur na kis nafa ka 72:21 tum kehdo k mujhe Allah k muqable mein koi
shaqs hargiz panah na dega (laa) aur main uske siwa panah ki koi jagah
hargiz na paoonga (laa) 72:22 siwaaye uske k main khuda ki taraf se
pahunchadoon (toye) aur uske paighaamoun ko adaa karoon [k mere liye
panaah issi mein hai] aur jo Allah ki aur uske Rasool ki nafermani karega
to uske liye atish e jahannum hai jismein wo hameshan hamesha hamesha
rahenge (toye) 72:23 yahaan tak k jab wo usse dekhenge jiska unse waada
kiya jata tha to wo ye samajh lenge k madadgar ki haisiyat se kon zyada
kamzor hai aur tadaad ki haisiyat se kon zyada kam hai 72:24 tum kehdo
main nahin janta k jiska tumse wada kiya jata hai wo zyaada qareeb hai ya
mera parwardigaar uski muddat badha dega 72:25 ghaib ka janne wala
wohi hai pas apne

