Page 916 - Quran-e-Kareem
P. 916
73 Sureh Muzammil (916) 29th para
rd
Ghaib per kisiko muttalaa nahin kerta (laa) 72:26 siwaaye us shaqs k jisko
wo rasooloun mein se [ilm e ghaib k liye] muntakhab kare k usko aage ki
taraf se aur peeche ki taraf se nigehbaan muqarrar ferma deta hai (laa)
72:27 taake wo ye jaanle k unhone apne parwardigaar k paighaam
pahuncha diye aur jo kuch unke paas hai us sab per khuda e taala haavi
hai aur har cheez ko usne gin liya hai 72:28
SURAH MUZAMMIL MAKEEH SUREH 20 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehmaan o raheem k naam se [shuruu karta hun]
Ae chadar lapetne wale [Rasool] (laa) 73:1 tum raat ko [namaz k liye] utha
karo magar kam (laa) 73:2 [yaani] adhi raat ya usmein se kuch kam karo
(laa) 73:3 ya usper kuch badhalo aur quran e majeed ko theher theher ker
padha karo (toye) 73:4 anqareeb hum tum per ek saqt hukum nazil
karenge 73:5 yaqeenan raat ka uthna badi saqt koft aur zikr ka bahut theek
waqt hai (toye) 73:6 beshak din mein tumhaare liye badi faraaghat hai
(toye) 73:7 aur tum apne parwardigaar k naam ka zikr kiya karo aur sab
taraf se toot ker ussi k

