Page 121 - Quran-e-Kareem
P. 121
th
th
4 Sureh An-Nisa (121) 4 para
SUREH AN-NISA (MADANIYYA) 176 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Aye aadmiyoun ! tum apnay parwardigaar se daro jisne tumko ek
mutanaffas se payda kiya (1) aur ussi (ki bachi mitthi ) se uska jorha
banaaya aur undono se bohhot se mard aur aurtein phaylaadeen (jeem)
aur uss allah se daro jiska waasta dekar aapas mea tum sawaal karte ho (3)
aur khata rehmi(taalukhat khatam karne ) se bacho (toye) iss mea shak
nahi k khuda tum per nigraan hai 4:1 aur yateemoun ko unke maal dedo
aur bure ko achey se na badlo (swat) aur apnay maal k saath
(milaaker)unke maal na khaajao(toye) bila shak ye bohhot badha gunah
hai 4:2 aur agar tumko ye khauff ho k yateem larkiyoun k baare mea insaaf
na karsakogay(3) to (aur) aurtoun mea se jo tum ko pasand aajaaye do do
teen teen char char se nikah karlo (jeem) phir agar (4) tumhey ye khauff
ho k (unke maa bayn bhi) adaalat na kar sakogay to mankuuha (jo nikah
mea aayi hai) ek hee ho ya (laundiyaan) jo tumhaari milkiyyat ho (toye)
ye baat naa insaafi se bachne k liye akhrab hai 4:3(toye) aur aurtoun ko
unke

