Page 122 - Quran-e-Kareem
P. 122
th
th
4 Sureh An-Nisa (122) 4 para
Meher (khuda ka) atiyya samajh ker (1) dedo (toye) phir agar ba khushi
wo uss mea se kuch tum ko de daale to usse khaalo (2) wo tumko rachey
pachey (ghatiya) 4:4 aur bewaqoofoun (3) ko apnay wo maal jo khuda ne
tumhaara sahara banaaya hai na do haan usmea se unko khilaao aur
pehnaado aur un se narmi ki baat karo 4:5 aur yateemoun ko kaarobar
mea lagaaker jaanchte raho jabtak k wo nikah k khaabil hojaaye (jeem)
phir agar tum un mea kaafi samaj dekho (4) to unke maal unke hawaale
kardo(jeem) aur uss maal ko fuzool kharchi karke aur jaldi jaldi (iss
khayaal se) na khaa jana k yateem barhi hojaayenge(to hisaab lenge)(toye)
aur jo maaldaar ho to wo maal e yateem se (qata ann ) parhez karey (jeem)
aur jo mohtaaj ho wo dastoor k mutaabiq(5) khaaye (toye)phir jab tum
unke maal unke hawaale karo to uss per gawah bhi karlo(toye) aur khuda
hisaab lene k liye kaafi hai 4:6 maa baap aur khareebi rishtedaar jo
tarka(maal o daulat) chor jaaye uss mea mardoun ka bhi hissa hai (swat)
aur maa baap aur rishtedaaroun ne jo tarka(6)

