Page 125 - Quran-e-Kareem
P. 125
th
th
4 Sureh An-Nisa (125) 4 para
Hissa hai baa tameel e wasiyyat k jo tum ne ki ho ya baad adaa e kharz k
(toye) aur agar kisi mard ya aurat k waaris bhai behen ho aur uska koi
(maaderi) bhai ya behen (2) bhi ho to un mea se her ek k liye chata hissa
hai (jeem) aur agar wo isse zyaada ho to ek tehaayi mea wo sab shareek hai
baad tameel e wasiyyat k jo ki gayi ho ya adaa e kharz k jiss mea (laa)
waarisoun ka zarrar (nuqsaan) madd e naazar na ho (jeem) ye wasiyyat
khuda ki hai (toye) aur allah jaanne waala hai (aur) burdbaar hai
4:12(toye) ye allah ki muqarrar ki hui hadein hai (toye) aur jo allah aur
uske rasool ki itaayat karega usko khuda un jannatoun mea daakhil
kardega jinke neechey nadiyya behti phirti hai un mea wo hamesha
(hamesha) rahenge (toye) aur yahee badhi kaamyabi hai 4:13 aur jo khuda
ki aur uske rasool ki naa farmani karega aur uski hudood se
tajaawuzz(hadd paar) karega usko wo aatish e jahannum mea daakhil
karega jiss mea wo hamesha (hamesha) rahega (swat) aur uske liye zillat
dene wala azaab hoga 4:14(2AIN4-13) aur tumhaaree aurtoun mea se jo

