Page 124 - Quran-e-Kareem
P. 124
th
th
4 Sureh An-Nisa (124) 4 para
th
Kuch aulaad bhi hai to uske tark se ek ek chata (1/6 ) hissa hai (jeem) aur
agar uske koi aulad nahi aur maa baap hee uske waaris huye ho to maa k
liye matruuka(marhoom ka chora hua samaan) ka ek tihaayi(1/3 ) hai
rd
(jeem) aur agar uske bhai behne bhi hoo to uski maa ka chata hissa hai (ye
taqseem) baad e tameel e wasiyyat (hogi) jo muttafi kargaya ho ya baad
adaa e kharz (toye) tumhaare baap (dada) ho aur tumhaare bete (potay)
(jeem) to nahi jaante k ba etebaar nafa rasaani (fayda uthaane waala) kaun
tumse zyaada khareeb hai (toye) ye allah ki taraf se muqarrar ho chuka hai
(toye) beshak allah jaanne wala (aur) hikmat wala hai 4:11 aur tumhaare
azwaaj jo kuch chorey jaaye agar unse koi aulaad na ho to uss mea se
aadha tumhaara hai (jeem) phir agar unke koi aulaad ho to unke tarkey ka
th
chautaayi(1/4 ) tumhaare hai baa uss wasiyyat k jo wo kar gaye ho ya
baad adaa e kharz k (toye) aur tumhaare tarkey mea se un k liye chautaayi
hai agar tumhaare koi aulaad na ho (jeem) phir agar tumhaare aulaad ho
to tumhaare tarke mea se unka aathwa

