Page 306 - Quran-e-Kareem
P. 306
th
9 Sureh at-taubah (306) 10th para
So tum unko dardnaak azaab ki khushkhabri sunaado 9:34(laa) (uss din k
mutaaliq) jiss din wo sona chaandi aatish e jahannum mea tapaya jaayega
phir uske zariyea se unki peshaaniyaan aur unke pehluu aur unki pushtayn
daaghee jaayengi (toye) (aur unse ye kaha jaayega) k ye wohi hai jo tum
apni zaat k liye jamah kiya karte they pass jaisa tum jamah kiya karte they
(waisa hee ab) iska mazaa chakho 9:35 beshak khuda k nazdeek mahinoun
ki ginti jiss din se khuda ne aasmaan o zameen ko payda kiya hai khuda ki
kitaab mea baarah (hee) mahinay hain jin mea se chaar mohtaram hain
(toye) (toye) seedha saadha qaayeda yahe hai(pesh) pass tum inn
mahinoun k baarey mea apnay aapey per zulm na karo aur mushrikoun se
ikhatte hokar larho jaise k wo tumse ikhattey hokar larhte hain (toye) aur
ye samajh lo k allah parhezgaaroun ka saathi hai 9:36 siwaaye iske nahi k
lound ka mahina kufr ka aur barhaana hai jo log kaafir hogaye hain iske
zariyea se aur gumraah kiye jaatey hai k kisi saal to wo isko halal samaj
lete hain aur kisi saal issi ko haraam qaraar dedete hain taa k khuda k
mohtaram kiye huye mahinoun ki tadaad se mutaabayqat karke allah ne jo
kuch haraam qaraar diya hai

