Page 310 - Quran-e-Kareem
P. 310
th
9 Sureh at-taubah (310) 10th para
Mea to ye parh hee gaye (toye) aur jahannum sab kaafiraoun ko yaqeenan
ghayr lene waali hai 9:49 agar tumko koi khair o khoobi pohonchti hai (1)
to wo unko buri lagti hai (jeem) aur agar tumper koi museebat aaparhti
hai (2) to ye kehne lagte hai k humne to apna intezaam pehle hee karliya
tha aur khush khush (wahan se ) chal dete hain 9:50 tum ye kehdo k
siwaaye uske jo allah ne hamaare liye likhdi hai aur koi museebat (jeem)
humko hargiz hargiz na pohoncheygi (jeem) wo hamare haakim hai aur
mominoun ko allah hee per bharosa karna chahyea 9:51 tum kehdo k
hamaare baarey mea tum aur kiss cheez ka intezaar kar rahey ho siwaaye
iss k (3) do khoobiyoun mea se ek haasil ho (yaani shahaadat miley ya
fatah hojaaye) aur hum tumhaare baare mea ye intezaar kar rahey hain k
tumko allah apni taraf se koi azaab de ya hamaare haathoun se (sazaa
dilwaaye) so tum intezaar kiye jaao hum bhi tumhaare saath saath intezaar
kar rahey hain 9:52 tum kehdo k tum ba khushi kharch karo ya naaraz
hoker (tumhaari ye khidmat) qubool kabhi naki jaayegi (toye) beshak tum
naafarmaan log ho 9:53 aur iss baat se k unke kharch karna qubool (4)
kiya jaaye aur maaney(manaah)

