Page 311 - Quran-e-Kareem
P. 311
th
9 Sureh at-taubah (311) 10th para
Kia hai siwaaye iske k unhone allah aur uske rasool ka yaqeenan inkaar
kiya aur namaaz ko nahi aatey hain magar iss tarah se k wo alkasaaye
(soosti se) huye hotey hain aur kharch kuch nahi karte magar iss tarah se
k wo bay dil hotey hai 9:54 pass tumko na unke maal (1) taajub mea
daalein aur ne unki aulaad (toye) allah to chaahta yahee hai k inn
cheezoun k zariyea se unko zindagnaani dunia mea azaab de aur unki
jaanain iss haal mea nikal jaaye k wo kaafir hee houn 9:55 aur wo khuda ki
qasam kha kha ker kahenge k hum tum hee mea se hai (toye) halaanke wo
tum mea se nahi hain balke wo aise log hain jo darpok hai 9:56 agar wo
koi jaaye panah ya ghaar ya ghusne ki jagah paaley to bhaag daud kar uski
taraf chaley jaayein 9:57 aur unmea se koi koi aisa bhi hai jo (taqseem)
sadaqaat k baarey mea tumper ilzaam lagaata hai (jeem) pass agar unmea
se unko dediya jaaye to raazi raazi hain aur agar un mea se (2) unko na
diya jaaye to ussi waqt bura maan jaate hai 9:58 aur kaash wo ussper raazi
hojaate jo allah aur uske rasool

