Page 302 - Quran-e-Kareem
P. 302
th
9 Sureh at-taubah (302) 10th para
Allah k nazdeek to ye sab baraabar nahi hai (toye) aur allah zaalim logoun
ki rehbari nahi fermata 9:19(meem) jo log imaan laaye aur jinhonay raah e
khuda mea hijrat ki aur apnay maaloun se aur jaanoun se jehaad kiya (laa)
wo allah k nazdeek darje mea sabse barhker hai (toye)aur wahi kaamyab
honay waale hai 9:20 unka parwardigaar unko apni rehmat ki razaamandi
ki aur aisee jannatoun ki khush khabri deta hai jinhain unke liye daayemi
asaayish[asaaniya] hogi 9:21(laa) aur wo unmein hamesha hamesha rehne
waale hongey beshak allah k paas barha ajar moujuud hai 9:22 aye imaan
laane waaloun tum apnay baap dadaaon ko aur apnay bhai bandoun ko
agar wo imaan k muqaable mea kufr ko dost rakhte houn (apna) (1) dost
na banaao(toye) aur jo tum mea se unko dost bana lega to wahi to zaalim
hain 9:23 (aye rasool) tum kehdo k agar tumhaare baap (dada) aur
tumhaare bête (potey) aur tumhaare bhai (bandey) aur tumhaari betiyaan
aur tumhaara kunba (qabeela) aur wo maal jo tum ne

