Page 352 - Quran-e-Kareem
P. 352
11 Sureh hud (352) 11 para
th
th
Alif laam raa (waqf) wo kitaab jiski aayaten mohkam kee gayi hain phir
uski tafseel jaanne waale hakeem ki taraf se kee gayi hai 11:1 (la) k siwaye
Allah k kisi ki ibaadat na karo (toye) beshak mai tumhaare liye Allah ki
taraf se daraane waala aur khush khabri sunaane waala hun 11:2 (la) Aur
ye k apne parwardigaar se gunahon ki maghfirat maango phir uski huzoor
me tauba karo aesa karna waqt e muqarrarah tak wo bohhot achi tarhan
nafa pohonchaye ga aur-har-zyadah-ata-karnewaale- ko zyadah ata
farmayega (toye) aur agar wo rogardaan hon to mai tumhaare liye bare din
k azaab se darta hoon 11:3 Tum sab ki baazgasht Allah hi ki taraf hai
(jeem) aur wo har cheez par poori-poori qudrat rakhne waala hai 11:4
Aagaah ho k wo apne seenoun ko dohra kar lete hain k Allah se apne raaz
chupayen (toye) khabardaar ho k jis waqt wo apne kapre ourh lete hain
Allah taala khoob jaanta hai k wo chupaate kis cheez ko hain aur zaahir
kis cheez ko karte hain (jeem) beshak wo dilon k haal se baa khabar hai
11:5

