Page 349 - Quran-e-Kareem
P. 349
10 Sureh yunus (349) 11 para
th
th
kiya karte thay 10:93 Phir agar tum ko us mea jo kuch humne tumhaari
taraf naazil kiya shak ho to wo log jo tumse pehle se kitaab parhte hain
unse daryaaft karlo (jeem) beshak tumhaare paas haq tumhaare rab ki taraf
se aya pas tum har giz shak karne waalon me se na hona 10:94 Aur na tum
un me se hona jinhon ne ayaat e khuda ko jhutlaya warna tum nuqsaan
uthaane waalon me se ho jaao ge 10:95 Beshak wo log jin par tumhaare
rab ka kalma (kufr ki mout marna) saabit hogaya imaan na layenge10:96
Jab tak k wo dard naak azaab ko dekh na len to unke paas har nishaani
aajaye 10:97 Pas koi basti aisi nahi hui k wo (azaab ko dekh kar) imaan
laayi ho to usko uske imaan ne koi nafah diya ho siwaye qoume Yunus
(as) k (jeem)ke wo jis waqt imaan laye hum ne zindagaani dunya me
ruswaayi ka azaab unse hata diya aur phir ek muddat tak unko aabaad
rakha 10:98 Aur agar tumhaara parwardigaar chahta to zameen me jitney
hain sab k sab imaan le aatay (toye) phir kya tum logon ko is baat par
majboor karo ge k wo momin ho jayen 10:99 Halaanke koi nafs baghair e
izne khuda ke

