Page 348 - Quran-e-Kareem
P. 348
10 Sureh yunus (348) 11 para
th
th
Khudae e taala ne farmaya k tum donon ki dua qubool ho gayi pas tum
dono saabit qadam raho aur har giz jaahilon ki raah na chalo 10:89 Aur
humne bani israil ko darya k paar utaar diya pas Firaoun aur uske lashkar
ne azroo e baghaawat e zulm unka peecha kiya yahan tak k jab wo doobne
lagaa to usne kaha k mai is baat par imaan laaya k jis khuda par bani israil
imaan laaye hain uske siwa koi mabood nahi hai aur mai itaayat karne
waalon me se hun 10:90 (Kaha gaya ke) kya tu ab imaan laata hai halaanke
pehle toone naafarmaani ki aur tu fasaad karne waalon me se tha 10:91 Pas
aaj k din hum sirf tere badan ko najaat denge taake tu apne baad walon k
liye nishaani rahe (toye) aur beshak bohhot se aadmi humaari nishaaniyon
se ghaafil hain 10:92 (ain) (9 AIN 10-14) Aur yaqeenan humne bani israil
ko bohhot hi ache maqaam par aabaad kiya aur paakiza cheezen unko
khane ko di(jeem) pas jab tak unke paas ilm na agaya unhon ne koi
ikhtelaaf na kiya (toye) beshak tumhaara parwardigaar qiyamat k din unke
maa bain un sab baaton ka faisla kar dega jin me wo ikhtelaaf

