Page 347 - Quran-e-Kareem
P. 347
10 Sureh yunus (347) 11 para
th
th
Firaoun us mulk me ghaalib tha (jeem) aur yaqeenan bari ziyaadati karne
waalon me se tha 10:83 Aur Musa (as) ne farmaya k aye meri qoum agar
tum Allah par imaan laye ho to us par tawakkul rakho agar tum itaayat
karne waale ho 10:84 Unhon ne arz ki k hum ne Allah par bharosa kiya
(toye) aye humaare parwardigaar humko zaalim logon ki aazmayish na
bana 10:85 Aur humko apni rehmat se kaafiron (ke zulm) se najaat de
10:86 Aur humne Musa (as) aur unke bhai ki taraf wahi ki k tum donon
apni qoum k liye misr me kuch makaan banao aur apne un makaanon ko
namaz ki jagah qarar do aur (un me) namaz parha karo (toye) aur
momineen ko khush khabri sunaao 10:87 Aur Musa (as) ne arz ki k aye
humare parwardigaar bil tehqeeq tune Firaoun aur uske darbaariyon ko
zindagaani dunya me samaan e aarayish aur maal bohhot kuch diya hai
aye humaare parwardigaar isliye k wo teri raah se bhatkayen (jeem) aye
humare parwardigaar unke maal ghaarat karde aur unke dil sakht karde k
wo jab tak dard naak azaab na dekhenge imaan na layenge 10:88

