Page 659 - Quran-e-Kareem
P. 659
31 Sureh luqman (659) 21st para
st
Uski pairwee karenge jissper humen apnay baap dada ko paaya hai (toye)
go shaitaan unke baap dada ko bharakti hui aag k azaab ki taraf bulaata
raha ho to bhi? 31:21 aur jo shaks apnay muaamle ko khuda k supurd
karde iss haal mea k wo nayk amal bhi ho to usne yaqeenan mazboot
raasta pakar liya (toye) aur tamaam muaamelaat ka anjaam khuda hee ki
huzoor mea pesh hoga 31:22 aur jo shaks kaafir hogaya to uska kufr tum
ko ranj na de unn sab ki baazgasht hamaari hee taraf hai phir jo kuch wo
kiya karte they usse hum unko aagah kardenge beshak Allah diloun k
haalat se khoob waaqif hai 31:23 hum thore din unko nafa
pohonchaayenge phir sakht azaab ki taraf unko kheench bulaayenge 31:24
aur agar tum unse (2) ye daryaaft karogay k aasmanoun ko aur zameen ko
payda kis ne kiya hai to wo zaroor ye kahenge k Allah ne (toye) tum ye
kehna k her qism ki taarif Allah hee k liye (zeba) hai (toye) lekin aksar
unmea se nahi jaante 31:25 jo kuch aasmanoun mea aur zameen mea hai
Allah hee ka hai (toye) beshak Allah wahi to be parwa (aur) mustahaq e
taarif hai 31:26 aur agar zameen mea jitney darakht hai wo qalmein ho
jaaye aur samandar jis k baad saath samandar aur hai

