Page 656 - Quran-e-Kareem
P. 656
st
31 Sureh luqman (656) 21st para
K baghair ilm k logoun ko raah e khuda se bhatkaaye aur unki hansi
urhaaye zaleel karne waala azaab aesoun hee k liye hai 31:6 aur jab usko
khuda ki aayatein parhker sunaayi jaati hai to wo takabbur karta huwa
rogardaan hojata hai goya usne unko sunaa hee nahi goya uske dono
kaanoun mea giraani hai (jeem) pass tum usko dardnaak azaab ki khush
khabri sunaado 31:7 ba tehqeeq jo log imaan laaye aur unhonay nayk amal
kiya nehmat waali jannatayn unhee k liye hai 31:8(laa) unmea wo hamesha
(hamesha) rehne waale hongay ye allah ka waada barhaq hai (toye) aur wo
barha zabardast aur hikmat wala hai 31:9 usne aasmanoun ko baghair aise
sutoonoun k jin ko tum dekhte ho (1) payda kiya hai aur zameen mein
(bhaari) bhaari pahaard qaayem kardiye hai k wo tum ko lekar kisi taraf
ko jhuk na jaaye aur is mea her qism ka chalne wala bakasrat phaylaa diya
hai (toye) aur humne aasmanoun se paani utaara phir hum ne uss mea her
cheez k nafees jodhey payda kardiye 31:10 ye to khuda ki payda ki hui
cheezain hai ab tum mujhey ye dikhaao k jo uske siwaa hai unho ne kia
payda kiya hai (toye) haqeeqat ye hai k zaalim khuli gumraahi mea

