Page 660 - Quran-e-Kareem
P. 660
31 Sureh luqman (660) 21st para
st
Unke liye roshnaayi banjaaye to bhi kalemaat e khuda (1) khatam na
hongay (toye) beshak allah ghalib (aur) hikmat wala hai 31:27 tumhaara
payda karna aur tumhaara phir utha betha na kuch bhi nahi hai magar
itna hee (2) jitna k ek nafs ka yaqeenan allah sunne wala (aur) janne wala
hai 31:28 kia tumse ye nahi dikhaa k allah taala raat ko din mea daakhil
(3) kardeta hai aur din ko raat mea daakhil kardeta hai aur suuraj ko aur
chaand ko usne muteeh karliya hai (zaal) k her ek ek muddat e muqarrara
tak k liye chal raha hai aur jo jo kuch tum karte ho allah uss se khoob
waaqif hai 31:29 ye sab iski daleel hai k allah wahi to barhaq hai uske
siwaa jin jin ko bhi wo pukaarte hai wo sab baatil hai aur allah wahi to
aala (aur) buzurg hai 31:30(3AIN11-12) kia tumne ye nahi dekha k
kishtiyaan samandar mea (4) raahey khuda ki nehmat (yaani hawa) se
chalti hai k wo apnay nishaaniyoun mea se baaz tumko dikhlaade (toye)
beshak her sabr karne waale aur shukr karne waale k liye iss mea (5)
bohhhot nishaaniyaan moujuud hai 31:31 phir jis waqt unko koi mouj
baadal ki tarah aakar dhaamp leti hai to wo khaalis dil se uski itaayat ka
izhaar karke Allah se dua maangne lagte hai (pesh)(jeem) phir jab wo
unko najaat dekar khushki per pohonchaa deta hai to kuch to in mea se
etedaal per rehte hai (toye) aur

