Page 661 - Quran-e-Kareem
P. 661
32 as-sajda (661) 21st para
nd
Siwaaye her bewafa aur naa shukri k hamaari nishaaniyoun ka inkaar to
koi bhi nahi karta 31:32 aye aadmiyoun ! tum apnay parwardigaar se daro
aur uss din ka khauff karo jiss din baap apnay bete ki taraf se koi badlaa
na de sakega aur na koi beta apnay baap ki taraf se koi cheez badle mea
dene wala banega(toye) yaqeenan allah ka waada saccha hai pass tumko
zindagaani dunia dhokay mea na daale (1)(wow qaff )(qaff) aur na khuda k
baarey mea koi faraybee tumko dhoka dene paaye 31:33 beshak qayamat
ka ilm allah hee (2) k paas hai (jeem) aur wahi mayh {baarish } barsaata
hai (jeem) aur wahi ye jaanta hai k hamal mea kia hai (3)(toye) aur koi
shaks ye nahi jaanta k wo kal kia karega aur na koi ye jaanta hai k wo kiss
sar zameen mea marega (toye) beshak allah taala badhaa jaanne wala
(aur)baa khabar hai 31:34(4AIN4-13)
SUREH AS - SAJDA (MAKEEH) 30 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Alif laam meem 32:1(jeem) ismea kuch bhi shak nahi k iss kitaab ka utaara
tamaam ahle aalam k liye parwardigaar ki taraf se hai 32:2(toye)

