Page 677 - Quran-e-Kareem
P. 677
33 al-ahzaab (677) 22 para
nd
rd
Unko nihaayat khoobi se rukhsat kardo 33:49 aye nabi ! beshak humne
tumhaare liye wo bibiyaan jin k tum meher de chukay ho aur wo
laundiyaa jo khuda e taala ne bataur e maal e ghaneemat tum ko ataa
farmaayi hai aur jinke tum maalik hogaye ho aur tumhaare chachaa ki
betiyaan aur tumhaari phuphi ki betiyaan aur tumhaare maamuon ki
betiyaan aur tumhaari khalaon ki betiyaan jo tumhaari saath hijrat karke
aagayi hai aur her momin aurat agar wo apnay aap ko nabi k hawaale
karde bashartiyye k nabe ka bhi irada ho k usse nikah karey khaas
tumhaare liye halaal kardi hai (qaaf) ye hukum sirf aur sirf tumhaare liye
hai aur mominoun k liye nahi (toye ) hum khoob jaante hai jo kuch
humne unnper unki azwaaj k aur unki laundiyoun k baare mea laazim
kiya hai taa k tumhaare liye koi tangee na ho (toye) aur allah badha
bakhashne wala (aur) rehem karne wala hai 33:50 unmea se jisko tum
chaaho alag karo aur jisko chaaho apnay paaas rakho phir jinko tum alag
kar chukey ho unmea se jisko chaaho talab karlo(toye) to tumhaare
zimmay koi ilzaam nahi hai ye khusoosiyyat is se qareeb tar hai (toye) unn

