Page 674 - Quran-e-Kareem
P. 674

33  al-ahzaab               (674)                    22   para
                                                                             nd
                         rd

               Aur imaan waali aurtein aur dua karne waali aurtein aur (apnay khoul e


               fail me) sacchey mard aur sacchi aurtein aur sabar karne waale mard aur

               sabar karne waali aurtein aur girhgirhaane waale mard aur girhgirhaane


               waali aurtein aur sadqa dene waale mard aur sadqa dene waali aurtein  aur

               roza rakhne waale mard aur roza rakhne waali aurtein aur apni sharm


               gaahoun ko mehfuuz rakhne waale mard aur mehfuz rakhne waali aurtein


               aur bohhot kasrat se khuda ko yaad karne waale mard aur yaad karne

               waali aurtein (1)  in sab k liye khuda e taala ne gunaahoun ki baksheesh


               aur bohhot barha ajar mahiyya farmaya hai 33:35 aur na kisi momin mard

               k liye ye baat (2) mouzuu hai aur na kisi momin aurat k liye k jab khuda


               aur uske rasool ne ek baat tayy kardi ho to phir unhoney apni uss


               muaamle mea kuch bhi ikhtiyaar (baakhi) rahey (toye) aur jo allah aur

               uske rasool ki naafarmani karega yaqeenan wahi to khuli gumraahi mea


               parhega 33:36 aur (aye rasool) jiss waqt tum uss se jinper allah ne bhi


               ehsaan (3) kiya tha aur tumne bhi ehsaan kiya tha ye ker rahey they k tu

               apni zoujha ko apnay paas rehne do aur allah se daro aur tum apnay dil


               mea wo baat chipaaye ho lete jisko allah zaahir karne wala tha
   669   670   671   672   673   674   675   676   677   678   679