Page 678 - Quran-e-Kareem
P. 678
33 al-ahzaab (678) 22 para
nd
rd
Sab ki aankhein thandi ho aur wo ranjeeda naa rahey aur jo kuch tumne
unko dediya hai uss se wo sab ki sab khush rahey (toye) aur jo kuch
tumhaare diloun mea hai usse allah jaanta hai (toye) aur allah barha
jaanne wala (aur) burdbaar hai 33:51 iske baad na tumhaare liye aur
aurtein halaal hai aur na ye baat k tum moujuuda azwaaj k badle aur
azwaaj karlo go tumko unka husn kitna hee acha maaloom ho siwaaye
unke jinke tum maalik hojaao (yani laundiya) (toye) aur allah her cheez ka
nigraan hai 33:52(6AIN12-3) aye imaan laane waaloun ! nabi k gharoun
mea na jaao siwaaye iske k tumko khaane k liye ijaazat di jaaye so aise
waqt na jaao k khaana milne k muntahar raho balke jab tumko bulaya
jaaye to ain waqt per jaao jaise he khana khaa chuko fauran mutafarriq
hojaao aur baatoun mea na lago (toye) yaqeenan ye nabi ko takleef deti
hai pass wo (tumhey apne gher se nikaalne mea ) sharm karte hai aur
allah haq baat (bayaan karne se nahi sharmaata )(toye) aur jab tum azwaaj
e nabee se koi cheez maango to unn se pass parda se maanga karo (toye)
ye baat

