Page 707 - Quran-e-Kareem
P. 707
36 Sureh Yaseen (707) 23 para
rd
th
Na suuraj hee ki majaal hai k chaand ko pakar paaaye aur na raat hee ki
ye khudrat hai k din se aagay barhjaaye (toye) halaanke ye sab kisi (na
kisi) aasmaan mea phirte rehte hai 36:40 aur ek nishaani inke liye ye (bhi)
hai k humne inke (2) buzurgoun ko bhari hui kishti mea sawaar kiya tha
36:41 aur inke liye (bhi) waisee hee cheezain payda kardi hain jisper ye
sawaar hotay rehte hai 36:42 aur agar hum chaahte to inko dubo dete pass
na inka koi faryaad rast {sunne wala } hota aur na ye churaaye jaatey
36:43(laa) siwaaye iske k hamaari rehmat ho aur ek arsa k liye nafa
pohonchaana (hadd e nazar ho) 36:44 aur jiss waqt unse kaha jaata hai k
tum apnay guzishta (gunaahoun ) se daro aur aayenda (k azaab ) se khouff
karo taake tum per rehem kiya jaaye 36:45 aur inke paas inke parwardigaar
ki nishaaniyoun mea se ek bhi aisee nahi aati jiss se ye rogardaan na hotay
ho 36:46 aur jiss waqt unse ye kaha jata hai k jo rizq khuda ne tumko diya
hai usmea se kuch (raah e khuda mea bhi ) kharch karo to jo log kaafir
hogaye hai mominoun se ye kehte hai kia hum usko kuch (5) khilaaye
jisko agar allah chaahta to khud khilaa deta (qaaf)(swat) (iss maamle mea
) tum sareeh ghalti mea ho 36:47

