Page 710 - Quran-e-Kareem
P. 710
rd
th
36 Sureh Yaseen (710) 23 para
Hum zyaada umr dete hai usko hum banaawat mea jhuka dete hai
(toye)kia wo itna bhi nahi samajte ? 36:68 aur humne usko (yaani apnay
rasool ko) (1) shayr nahi sikhaya aur na ye iske liye zeba hai (toye) ye to
sirf nasiyyat aur khula quran hai 36:69 (laa) taake unn logoun ko jo zinda
(dil) hain daraaye aur inkaar karne waaloun per khoul e haq saabit hojaaye
36:70 kia wo itna nahi samajte k jo chaupaaye hum ne apni khudrat se
banaaye hai inke nafah k liye payda kiye hain, pass wo uss waqt inkey
maalik baney huye hain 36:71 aur hum hee ne in chaupaayoun ko unka
muteeh kardiya hai k inn mea se baaz to unki sawaariyaa hai aur in mea se
baaz ko wo khaate hai 36:72 aur inke liye inn chaopaayiyoun mea bohhot
see munfa-atein (munaafay) aur peene ki cheezain hai to kia wo iske shukr
guzaar na hongay ? 36:73 aur unhonay khuda ko chorker aur khuda
banaaliye taake wo inki kuch madad karey 36:74(toye) wo inki zaraa
madad na karsakenge (4) halaanke inke lashker k lashker unn (ki ibaadat)
k liye haazir rehte hai 36:75 pass (aye rasool) inki baatein tumko ranj mea
na daale (meem) jo jo kuch ye chupaate hai aur jo (jo) kuch ye zaahir karte
hai hum usse khoob jaante hai 36:76 aaya insaan itna nahi samajhta k hum
ne

