Page 713 - Quran-e-Kareem
P. 713
37 Sureh Saaffat (713) 23 para
rd
th
Leta hai 37:10 ab unse poocho k azroo e paydaayesh ye khud zyaada
mazboot hai ya wo jinko humne payda kiya hai (toye) yaqeenan humne
unko lasdaar {chipakne waali} mitthi se payda kiya hai 37:11 baat ye hai k
tumko (unke inkaar se ) taajub hua aur wo (tumhaare taajub ki) hansee
urhaate hai 37:12(swat) aur jab unki nasiyyat ki jaati hai to wo nasiyyat
nahi maante 37:13(swat) aur jab koi moujizaa dekhte hai to (aur zyaada)
hansee urhaate hai 37:14(swat) aur kehte hai k ye to khula jaadu hai
37:15(jeem)(swat) kia jab hum marjaayenge aur mitthi aur haddiyan
hojaayenge to kia hum phir uthaay jaayenge ? 37:16(laa) aaya hamaare
pehle baap dada bhi ? 37:17(toye) tum kehdo haan balke tum sab zaleel
hokar aaogay 37:18(jeem)pass wo ek jharakti hee to hogi k wo sab
yakaayak (khabroun se nikal ker ) dekhte (k dekhte) pohonch jaayenge
37:19 aur kahenge k haaye kharaabi hamaari yahee to jazaa o sazaa ka din
hai 37:20 (jawaab milega ji) yahee faysla ka din hai jissko tum jhutlaaya
karte they 37:21(ain)

