Page 752 - Quran-e-Kareem
P. 752
40 Sureh Al-Momin (752) 24 para
th
th
Wo rahay rast say rok diya gaya tha(toye) aur firaun ki jo chaal thee wo
tabahi ki the 40:37 aur uss shaks nay jo imaan laaya tha yeh kaha k aay
meri qaum ! tum meri payrawi karo mea tumko nayk bakhti ki raah
dikhlaonga ( jeem) 40:38 aay meri qoom! Yeh zindagaani dunya tu ( zaraa
si ) poonjee hai aur aakhirat wohi tu hamesha rehnay ka ghar hai 40:39 jo
shaks koi badii (bhi) karayga tu ussko utna hi badla diya jaayega (jeem)
aur jo shaks mard ho ya aurat koi naik amal uss haal mea baja laayega k
wo momin ( bhi) ho tu yehi log jannat mea daakhil hoongay jiss mea inko
bay hisaab rizk diya jaayega 40:40 aur aye meri qaum ! yeh baat kya hai k
mea tu tumko nijaat ki taraf bulata hoon aur tum mujhay jahannum ki
taraf bulatay ho (toye) 40:41 tum mujay iss baat ki taraf bulatay ho k mea
Allah ka munkir ho jaaoon aur usska shareek aesii cheezoo ko qaraar doo
jinka mujko kuch ilm nahi halaanke mea tumko baray zaburdast (aur)
barhe bakshnay walay ki taraf bulata hoon 40:42 haan tum mujay jiski
taraf bulatay ho ussko dunya-o-akhirat mea bulanayka koi haq nahi hai
aur hum sab ki

