Page 751 - Quran-e-Kareem
P. 751
40 Sureh Al-Momin (751) 24 para
th
th
Khuda talaa tofeek-e-hidayut salb karlay pas usska rehbar koi hota hee
nahi 40:33 aur yaqeenun yousuf (a.s) pehlay hee tumhaare pas khuli
daleelein laykar aaye thay pas jo kuch wo tumhaaray pas laykar aaye thay
tum uskay baaray mea baraabar shak hee mea rahay (toye) yahan tak k jab
unka intekaal hogaya tu tum ne kehdiya k inkay baad Allah kisi rasool ko
maboos hee na karega (toye) issi terhan Allah talaa her uss shaks say jo
hadd se guzar jaane wala aur shakki ho tofeeq-e-hidaayut salb karleta hai
(jeem/sowad) 40:34 yeh aesay hi log hain jo khuda talaa ki aayatoun mea
baghair isske k koi daleel aayi ho jhagarte raha karte hain (toye) Allah k
nazdeek aur jo log imaan laaye hain unn k nazdeek (yeh rawayyah)
bohhot hee napasand hai (toye) issi terhan Allah her mutakabur sarkash k
dil per chapaa laga dayta hai 40:35 aur firaun nay kaha k aye hamaan!
mere liye ek oocha mehal tu bana takay mea waseelay bahum pohoncha
loo (laa) 40:36 (aur) asmaan k raastay paalu k mujay moosa (a.s) k khuda
ki haalat maloom ho jaaye halaanke mea ussay jhoota khiyaal karta ho
(toye) aur iss terhan firaun ki nazr mea usski badd amli zeenat paagayi
thee aur

