Page 750 - Quran-e-Kareem
P. 750
40 Sureh Al-Momin (750) 24 para
th
th
Aur agar wo jhoota hai tu uskay jhoot ka wabaal ussi pay raha (jeem) aur
agar wo sacha hai tu jiska tum say wada karta hai usska kuch hissa tu
tumper bhi parayga (toye) beshak Allah uss shaks ki jo fazool khurch aur
bara jhoota ho rehbari nahi fermaya karta 40:28 aye meri qaum ! aaj tu iss
sarzameen mea tumhaara ikhtiyaar hai ghalib tum hi ho (zay) laykin (kal )
azaab-e-khuda say agar wo hum per aaparay bachanay k liye hamaari
madad kon karayga? (toye) firaun nay kaha k mea tumko wohi raaye dayta
ho jo mea (naik) samajta hoo aur mea siwaaye bhalaayi ki raah k aur koi
rah tumko nahi bataata 40:29 aur uss shaks nay jo imaan laaya tha yeh
kaha k aye meri qaum! Mujhe yeh andaysha hai k tum per pichli
ummataun k say din na par jaein (laa) 40:30 ( yani) qoom-e-nooh(a.s) aur
Aad aur Samood aur unke baad waloon ki si halat na guzray (toye)
halaankay Allah bandoun k haq mea zulm nahi chahta 40:31 aur aye meri
qoom! Mujay tumhaaray baray mea qayamat k din ka (bhi) andaysha hai
(laa) 40:32 jis din tum roo gardah ho kar chalogay (jeem) ( to uss din)
Allah ki taraf say tumhaara koi bachanay wala na hoga (jeem) aur jis say

