Page 747 - Quran-e-Kareem
P. 747
40 Sureh Al-Momin (747) 24 para
th
th
Ko pukara jata tha tub tu tum inkaar kiya karte thay ( jeem) aur agar uske
saath kisi ko shareek kiya jata thaa tu ussper imaan lay aaya karte thay so
ab tu hukumat to khuda-e-buzurg-o-bartur hee ki hai 40:12 wo wohi tu hai
jo tumko apni nishaniyaan dikhlaata hai aur asmaan say tumhaarey liye
rizk naazil karta hai (toye) aur iss say naseehat tu wohi karta hai jo ghoor-
o-fikar say rujo karta hai 40:13 pas (ab) tum Allah hee k liye deen khalis
karkay ussay pukaro goo kafiro ko bura lagey 40:14 ( khuda talaa) baray
darjo wala (aur) arsh wala hai apnay bando mea say apnay hukum say
jisko chahta hai rooh-e-(quds) k zaryeh say faiz poochata hai taakay wo
banda qayamat k din say logo ko daraaye ( laa) 40:15 jis din k wo sab (
qabroon say ) nikal kar aaeingay (jeem) Allah per unki koi baat poshida
naa hogi ( sawal kiya jaayega kay) aaj sultanut kiski hai ? (toye) ( jawab
diya jaayega kay) khuda-e-yakta-o-zaburdast ki 40:16 (phir nida dijaayegi
kay) aaj her nafs ko uskay kiyeh ka badla milayga (toye) aaj (zarra) be
insaafi nahi hai (toye) yaqeenun Allah bara jald hisaab laynay wala hai
40:17 aur inko qareeb aanay walay din say darao jubkay maaray runj-o-
ghum k dil halqoom {halaqh} k paas

