Page 755 - Quran-e-Kareem
P. 755
40 Sureh Al-Momin (755) 24 para
th
th
Hai hee nahi halaanke apnay matlab tak wo ( kabi poochnay walay na
hongay sooyum {teesri baat} Allah ki panaah mango beshak wo barah
sunnay wala (aur) daykhnay wala hai (jeem) 40:56 zaroor aasmamo ka aur
zameen ka paida karna aadmiyon k paida karnay say (kahein) bara howa
hai laykin bohat say aadmi (itna) bhi nahi jaantay40:57 aur andha aur
nabeena barabar nahi hotay (laa) aur jo log imaan laaye aur unhonay naik
amal kiyeh ( wo) aur badkaar baraabar nahi ho saktay (toye) tum soochtay
hee bohat kam ho 40:58 qayamat zaroor aanaywali hai jis mea koi shak
nahi laykin aamiyon mea say bohat say imaan nahi rukhtay 40:59 aur
tumhaare parwardigar nay farmaya k tum muj say dua mango mea ( jo
tumhaare nafa ki hogi wo) zaroor qabool karonga yaqeenan wo log jo meri
ibaadat karnay say akartay han wo unkareeb zaleel hokar jahannum mea
daakhil hoongay (ain) 40:60 Allah wohi tu hai jisnay raat tumhaare liye issi
gharz say banaayi k uss mea araam liya karo aur din ko dikhanay wala (
banadiya) (toye) beshak Allah kul aadmiyoon per bara fazal karnay wala
hai laykin bohat say aadmi shukarguzar

